Skip to content

Bura Hoon Main Bohot Lyrics

by Nazz2023

Bura Hoon Main Bohot Lyrics

Kuch Baatein Rehti
Jo Zuban Pe Nahi Aati
Unhi Ansuni Baton Ko
Aaj Main Suna Doon

Main Baadshahon Ki Tarah
Har Baat Rakhta Chala
Par Kuch Ankahi Batein Hain Jinka
Aaj Main Gulaam Hoon

Bohot Kuch Hain Kehne Ko
Joh Kehne Ko Main Darta Tha
Sochta Tha Rehene Do Woh
Zehen Mein Jo Bhadka Tha

Ladta Tha Ye Ladka Phir Bhi
Ladkhada Ke Chalta Tha
Saans Lete Rehta Phir Bhi
Tadfadake Marta Thha

Dardnaak Bukhaar Ko Main
Sar Chadha Ke Baitha Tha
Main Zalzala Toofan Mein Hi
Ghar Banaake Rehta Tha

Main Mukh Se Khush Hoon
Mujhse Door Hoon
Dukh Mein Choor Hoon
Main Khud Ka Guru
Khud Ko Ghoorun
Khud Pe Guroor

Aisa Nahi Ke Maine Aajtak
Paap Kuch Na Kiya Ho
Paas Doodh Tha Par Kabhi
Saanp Khush Na Kiya Ho
Har Chunauti Ka Saamna
Karne Ki Mujh Mein Himmat
Bhale Bachpan Mein Theek Se
Maine Maa Ka Doodh Na Piya Ho

Maa Se Badhke Chachi Ne Sambhala
Bithaya Mujhe Sar Pe
Tadap-tadap Ke Baap Mara
Mere Aankhon Ke Samne Ghar Pe

Phir Baap Se Badhkar Chacha Mera
Guzra Aankhein Bharke
Kyunki Woh Milna Chahta Thha Mujhko
Apne Aakhri Waqt Pe

Aur Main Ehsaan Faramosh Tha
Sota Raha Main Ghar Pe Thakk Ke
Khud Pe Mujh Ko Shaq Hain
Mujhe Jeene Ka Na Koi Haq Hain

Woh Mare Apne Naseeb Se Par
Mujhe Kusoor Hain Apne Aap Pe
Meri Nazar Se Dekho Toh
Unka Khoon Dikhe Mere Hath Pe

Bura Hoon Main Bohot
Bura Hoon Main Bohot
Kehti Mujhe Duniya Ke
Bura Hoon Main Bohot

Dhoonda Hoon Main Bohot
Dhoonda Hoon Main Bohot
Jeene Ki Wajah Meri
Dhoonda Hoon Main Bohot

Bura Hoon Main Bohot
Bura Hoon Main Bohot
Kehti Mujhe Duniya Ke
Bura Hoon Main Bohot

Dhoonda Hoon Main Bohot
Dhunda Hoon Main Bohot
Jeene Ki Wajah Meri
Dhoonda Hoon Main Bohot

Sahi Galat Dikhaane Koi Nai,
Mera Dil Aur Dimag Sadd Chuka Tha
Khud Ke Ghar Ke Cheezon Ko Main
Chori Karna Chalu Kar Chuka Thha

Mujhpe Sar Pe Gharki Zimmedari
Thi Aur Main Sar Jhukata
Pata Nahi Kaise Main Atthanni Jaise
Tha Rupaiyye Ke Saamne Gadd Chuka Tha

Pani Deta Raha Main Sirf
Gunahon Ke Paudhon Ko
Kandhon Pe Bojh Gym Ki
Zaroorat Nahi Hum Laundon Ko
Mann Ko Maara Maine Apne Har Waqt
Jaise Kuch Pati Daru Peeke
Marte Hai Apni Aurton Ko

Jeet Ki Bhookh Badi
Baar-baar Haar Paake
Patthar Dil Bachpan Se
Baar-baar Maar Kha Ke

Khel Main Kheloon
Bhale Jeetu Na Sahi
Kyunki Hum Dil Jeetne Wale
Aksar Khel Haar Jaate

Khaane Mein Dhoke Hi
Parose Gaye Plate Mein
Hate Jhelna Shuru Ki
Jabse Tha Maa Ke Pet Mein

Koi Poochega Toh Iss
Pate Pe Usko Bhejde
Anxiety Mera Desh Main Rehta
Depressed State Mein

Bura Hoon Main Bohot
Bura Hoon Main Bohot
Kehti Mujhe Duniya Ke
Bura Hoon Main Bohot

Dhoonda Hoon Main Bohot
Dhoonda Hoon Main Bohot
Jeene Ki Wajah Meri
Dhoonda Hoon Main Bohot

Bura Hoon Main Bohot
Bura Hoon Main Bohot
Kehti Mujhe Duniya Ke
Bura Hoon Main Bohot

Dhoonda Hoon Main Bohot
Dhoonda Hoon Main Bohot
Jeene Ki Wajah Meri
Dhoonda Hoon Main Bohot

Song details & credits

SongBura Hoon Main Bohot
SingerNazz
LyricistNazz
MusicNazz
LabelKaanPhod Music
Year2023
LanguageHindi

Frequently Asked Questions

When was "Bura Hoon Main Bohot" released?
“Bura Hoon Main Bohot” was released in 2023.
Who wrote the lyrics of "Bura Hoon Main Bohot" song?
The lyrics of “Bura Hoon Main Bohot” were written by Nazz.
Who is the singer of "Bura Hoon Main Bohot" song?
“Bura Hoon Main Bohot” is sung by Nazz.