Skip to content

Main Zinda Hoon Lyrics

by Sonu NigamMovie: Paltan·2018

Main Zinda Hoon Lyrics

Saathiyo saathiyo aakhiri baar
Kya keh raha hoon suno
Ho sake toh suno…

Maine apne garm lahu se
Waqt ke barfeele kaaghaz pe
Ik paigham likha hai
Jinke naam likha hai
Unn tak pahucha dena
Unn tak pahucha dena
Mere mann ki baat unhe tum batla dena

Maine apne garm lahu se
Waqt ke barfeele kaaghaz pe
Ik paigham likha hai
Ik paigham likha hai…
Meri maa se tum yeh kehna
Bachpan mein mujhse tune kaha tha
Dharti maa bhi maa hoti hai
Maine aaj iss dharti maa ki laaj rakhi hai
Mat ro maa tu kyun roti hai
Kyun roti hai
Kyun roti hai

Maine apne garm lahu se
Waqt ke barfeele kaaghaz pe
Ik paigham likha hai
Ik paigham likha hai…

Aa…

Mere baba se tum kehna
Bachpan mein mujhse tumne kaha tha
Aisa kuch mat karna ki main sharminda hoon
Tumne kaha tha itihas humse kehta hai
Jo hai bahadur, marke bhi zinda rehta hai
Baat tumhari maan li maine
Apne watan pe jaan di maine
Dekho baba aaj main marke bhi zinda hoon

Sau karod insaano ke
Ehsaas mein main zinda hoon
Hindostaan ke mann mein base
Vishwas mein main zinda hoon

Naujawaan chehron mein main hoon
Sarhad par pehron mein main hoon
Tum mera koi gham na karna
Apni palkon ko namm na karna
Apna gaurav kam na karna
Apna gaurav kam na karna

Main zinda hoon
Main zinda hoon
Main zinda hoon…

Song details & credits

SongMain Zinda Hoon
SingerSonu Nigam
MoviePaltan
LyricistJaved Akhtar
MusicAnu Malik
LabelZee
StarringJackie Shroff, Arjun Rampal, Sonu Sood, Gurmeet Choudhary, Harshvardhan Rane, Siddhant Kapoor, Luv Sinha, Esha Gupta, Sonal Chauhan, Deepika Kakar & Monica Gill
Year2018
LanguageHindi

Frequently Asked Questions

Which movie is "Main Zinda Hoon" from and when was it released?
“Main Zinda Hoon” is from the movie Paltan, released in 2018.
Who wrote the lyrics of "Main Zinda Hoon" song?
The lyrics of “Main Zinda Hoon” were written by Javed Akhtar.
Who is the singer of "Main Zinda Hoon" song?
“Main Zinda Hoon” is sung by Sonu Nigam.
Who has featured in the "Main Zinda Hoon" music video?
The music video of “Main Zinda Hoon” features Jackie Shroff, Arjun Rampal, Sonu Sood, Gurmeet Choudhary, Harshvardhan Rane, Siddhant Kapoor, Luv Sinha, Esha Gupta, Sonal Chauhan, Deepika Kakar and Monica Gill.