Navigation
Information & Legal
Bollywood • 1969

Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein Lyrics

By Kishore Kumar • Movie: Do Raaste

खिज़ा के फूल पे आती
कभी बाहर नहीं
मेरे नसीब में ए
दोस्त तेरा प्यार नहीं
मेरे नसीब में ए
दोस्त तेरा प्यार नहीं

खिज़ा के फूल पे आती
कभी बाहर नहीं
मेरे नसीब में ए
दोस्त तेरा प्यार नहीं

न जाने प्यार में कब
मैं जुबां से फिर जाऊं
मैं बन के आँसू खुद
अपनी नज़र से गिर जाऊं
तेरी कसम है मेरा
कोई ऐतबार नहीं
मेरे नसीब में ए
दोस्त तेरा प्यार नहीं

मैं रोज़ एक नई राह तकता हूँ
मैं रोज़ एक नए
ग़म की आह तकता हूँ
किसी ख़ुशी का मेरे
दिल को इंतज़ार नहीं
मेरे नसीब में ए
दोस्त तेरा प्यार नहीं

गरीब कैसे मोहब्बत
करे अमीरों से
बिछड़ गए हैं कई
रांझे अपनी हीरों से
किसी को अपने मुक़द्दर
पे इख्तियार नहीं
मेरे नसीब में ए
दोस्त तेरा प्यार नहीं

खिज़ा के फूल पे
आती कभी बहार नहीं
मेरे नसीब में ए
दोस्त तेरा प्यार नहीं..

Khiza ke phool pe aati
Kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

Khiza ke phool pe aati
Kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

Na jaane pyar mein kab
Main zubaan se phir jaaun
Main ban ke aansoo khud
Apni nazar se gir jaaun
Teri kasam hai mera
Koi aitbaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

Main roz ek nai raah takta hoon
Main roz ek naye
Gham ki aah takta hoon
Kisi khushi ka mere
Dil ko intezaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

Garib kaise mohabbat
Kare ameeron se
Bichhad gaye hain kai
Raanjhe apni heeron se
Kisi ko apne muqaddar
Pe ikhtiyaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

Khiza ke phool pe
Aati kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi..

Song Details & Credits
Song Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein
Singer Kishore Kumar
Movie Do Raaste
Lyricist Anand Bakshi
Music Laxmikant Shantaram Kudalkar, Pyarelal Ramprasad Sharma
Label Shemaroo
Video Director Raj Khosla
Starring Rajesh Khanna, Mumtaz
Year 1969
Language Hindi

Frequently Asked Questions • Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein

“Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein” is from the movie Do Raaste, released in 1969.

The lyrics of “Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein” were written by Anand Bakshi.

“Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein” is sung by Kishore Kumar.

The music video of “Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein” was directed by Raj Khosla.

The music video of “Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein” features Rajesh Khanna and Mumtaz.